% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % nanhaa munnaa raahii huu.N, desh kaa sipaahii huu.N bolo mere sa.ng, jay hi.nd, jay hi.nd, jay hi.nd ... raste pe chaluu.ngaa na Dar-Dar ke chaahe mujhe jiinaa pa.De mar-mar ke ma.nzil se pahale naa luu.ngaa kahii.n dam aage hii aage ba.Dhaau.ngaa kadam daahine baae.n daahine baae.n, tham! nanhaa ... dhuup me.n pasiinaa bahaau.ngaa jahaa.n hare-bhare khet laharaae.nge vahaa.n dharatii pe faake na paae.nge janam aage hii aage ... nayaa hai zamaanaa merii na_ii hai Dagar desh ko banaau.ngaa mashiino.n kaa nagar bhaarat kisii se na rahegaa kam aage hii aage ... ba.Daa ho ke desh kaa sitaaraa banuu.ngaa duniyaa kii aa.Nkho.n kaa taaraa banuu.ngaa rakhuu.ngaa uu.nchaa tira.ngaa haradam aage hii aage ... shaa.nti ki nagarii hai meraa ye vatan sabako sikhaauu.ngaa pyaar kaa chalan duniyaa me.n girane na duu.ngaa kahii.n bam aage hii aage ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.