hai apanaa dil to aavaaraa, na jaane kis pe aayegaa


Song Title: hai apanaa dil to aavaaraa, na jaane kis pe aayegaa
Movie Name: Solvah Saal
Actor(s)/Actress(es): Dev Anand, Waheeda Rehman
Singer(s): Hemant Kumar
Music Director(s): Sachin Dev Burman
Lyricist(s):
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Satish Subramanian (subraman@centi.cs.umn.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor:  
%
%
% This one is from one of Dev's earlier movies - Solvah Saal
% (1958).  Hemant's melodious voice again..  Hemant's songs are all very
% simple - has a simple tune, background music is simple. The lyrics of
% all his songs are simple superb.
%
% Here is the happy version of 'hai apna dil..', there is a sad
% version that Dev sings alone.
%
% The scene in this song is - Dev and Waheeda in a train, with
% Dev singing and Waheeda acting as if she irritated by him.
%
% Another 'mast gaana' :)
%
% bye
% satish
%
hai apanaa dil to aavaaraa, na jaane kis pe aayegaa

hasiino.n ne bulaayaa, gale se bhii lagaayaa
bahut samajhaayaa, yahii na samajhaa
bahut bholaa hai bechaaraa, na jaane kis pe aayegaa
hai apanaa dil to aavaaraa ...

ajab hai diivaanaa, na ghar naa Thikaanaa
zamii.n se begaanaa, phalak se judaa
ye ek TuuTaa huaa taaraa,  na jaane kis pe aayegaa
hai apanaa dil to aavaaraa ...

zamaanaa dekhaa saaraa, hai sab kaa sahaaraa
ye dil hii hamaaraa, huaa na kisii kaa
safar me.n hai ye ba.njaaraa,  na jaane kis pe aayegaa
hai apanaa dil to aavaaraa ...

huaa jo kabhii raazii, to milaa nahii.n kaazii
jahaa.N pe lagii baazii, vahii.n pe haaraa
zamaane bhar kaa naakaaraa,  na jaane kis pe aayegaa
hai apanaa dil to aavaaraa ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .