% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Rajan P. Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % mere ghar aaI ek nanhii parii, ek nanhii parii chaa.ndanii ke hasiin rath pe savaar mere ghar aaI ... usakii baato.n me.n shahad jaisii miThaas usakii saaso.n me.n itar kii mahakaas ho.nTh jaise ke bhiige-bhiige gulaab gaal jaise ke bahake-bahake anaar mere ghar aaI ... usake aane se mere aa.ngan me.n khil uThe phuul gunagunaayii bahaar dekh kar usako jii nahii.n bharataa chaahe dekhuu.N use hazaaro.n baar (2) mere ghar aaI ... maine puuchhaa use ke kaun hai tuu ha.nsake bolii ke mai.n huu.N teraa pyaar mai.n tere dil me.n thii hameshaa se ghar me.n aaI huu.N aaj pahalii baar mere ghar aaI ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.