% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Ramesh Hariharan (hariharn@picasso.Princeton.EDU) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % bhagavaan, bhagavaan ... bhagavaan o duniyaa ke rakhavaale, sun dard bhare mere naale sun dard bhare mere naale aash niraash ke do ra.ngo.n se, duniyaa tuune sajaaI nayyaa sa.ng tuufaan banaayaa, milan ke saath judaaI jaa dekh liyaa harajaaI o ... luT gaI mere pyaar kii nagarii, ab to niir bahaa le ab to niir bahaa le o ... ab to niir bahaa le, o duniyaa ke rakhavaale ... aag banii saavan kii barasaa, phuul bane a.ngaare naagan ban ga_ii raat suhaanii, patthar ban gae taare sab TuuT chuke hai.n sahaare, o ... jiivan apanaa vaapas le le jiivan dene vaale, o duniyaa ke rakhavaale ... chaa.nd ko Dhuu.nDhe paagal suuraj, shaam ko Dhuu.nDhe saveraa mai.n bhii Dhuu.nDhuu.n us priitam ko, ho naa sakaa jo meraa bhagavaan bhalaa ho teraa, o ... qismat phuuTii aas na TuuTii paa.nv me.n pa.D gae chhaale, o duniyaa ke rakhavaale ... mahal udaas aur galiyaa.n suunii, chup-chup hai.n diivaare.n dil kyaa uja.Daa duniyaa uja.Dii, ruuTh gaI hai.n bahaare.n ham jiivan kaise guzaare.n, o ... ma.ndir girataa phir ban jaataa dil ko kaun sambhaale, o duniyaa ke rakhavaale ... o duniyaa ke rakhavaale rakhavaale rakhavaale rakhavaale ... % (throat bleeding pitch !!) %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.