% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Rajan P. Parrikar (parrikar@csn.org) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % phir terii kahaanii yaad aaI phir teraa fasaanaa yaad aayaa phir aaj hamaarii aa.Nkho.n ko phir aaj hamaarii aa.Nkho.n ko, ek Kvaab puraanaa yaad aayaa phir terii kahaanii yaad aaI ... jalate hai.n chiraago.n kii suurat har shaam terii ham yaado.n me.n jab subah ko shabanam rotii hai kho jaate hai.n ham fariyaado.n me.n - 2 jab dil ne koI aavaaz sunii jab dil ne koI aavaaz sunii, teraa hii taraanaa yaad aayaa phir terii kahaanii yaad aaI ... shaayad kabhii milanaa ho jaae baiThe.n hai.n isii aramaan me.n ham tuune to kinaare paa hii liye ulajhe hai.n magar tuufaan me.n ham ai jaan-e-vafaa phir aaj hame.n ai jaan-e-vafaa phir aaj hame.n, pichhalaa vo zamaanaa yaad aayaa phir terii kahaanii yaad aaI ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.