pannaa kii tamannaa hai ki hiiraa mujhe mil jaaye


Song Title: pannaa kii tamannaa hai ki hiiraa mujhe mil jaaye
Movie Name: Heera Panna
Actor(s)/Actress(es): Dev Anand, Zeenat Aman
Singer(s): Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Rahul Dev Burman
Lyricist(s): Anand Bakhshi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
% (dialogue before the song)
% Dev:	Sooraj namashkar kar raha hai aapko, zara hat toh
%	hathayiye.....
%	Chehra choomne deejiye apna!
%	*pause*
%	*laughingly* Sooraj ki sunehri kirnon ko!
%
% Zeenat: *sigh of releif* Mmmhmhm..
%
% Dev:	Aapko kuch maloom bhi hai ki aap kahan hain,  
%	kahan se aa rahi hain, kahan jaayengi, raat ko kya 
%	hua, kaise hua, kyon hua?
%
% Zeenat: Aapki pistol kahan hai?
%
% Dev:	Meri jeb mein!
%	
% Zeenat: Aur..aur woh aadmi bhaag gaya tha na raat ko?
%
% Dev:	Abhi tak toh nahin aaya wapas, lekin yeh toh batayiye 
%	ki mujh mein aisi kya gasoosiyat(?) hai ki aap mere 
%	saath akeli aane ko taiyaar ho gayin aur woh shaaks 
%	jis se aapki jaan pehchaan bhi hai...
%
% Zeenat: Sach boloon?
%
% Dev:	Jhooth boliyega toh utar doonga gaadi se, peidal
%	chalke jana padega bangalore ki taraf!
%
% Zeenat: Isliye ki aap ke paas ek khaas cheez hai jo uske
%	paas nahin!
%
% Dev:	Kya?
%
% Zeenat: Heera!
%
% Dev:	Bahar se kaise baamp liya aapne, woh toh andar hai!
%	Aur thitholna padega aapko..
%	Heera heere ka dil rakhta hai yeh sahi hai, lekin
%	is waqt toh dil bilkul gayab hai..
%	andar gehri gehraiyon mein guskar bhi aap usey dhoond na
%	paayengi.  Kisi ko diya tha ik baar, aur wapas lout 
%	ke nahin aaya..
%
% Zeenat:	Aur agar hum dhoond nikale?
%
% (Song begins)
%
lataa:	pannaa kii tamannaa hai ki hiiraa mujhe mil jaaye
chaahe merii jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
ho ... pannaa kii tamannaa hai ki hiiraa mujhe mil jaaye
chaahe merii jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
%    hai...lo........rararu roooo..
%    hai...lo........tarara roooo...aa...
%    panna ki tamanna hai ki hiira mujhe mil jaaye
%    chahe meri jaan jaaye, chahe mera dil jaaye

kishor:	hiiraa to pahale hii kisii aur kaa ho chukaa - 2
kisii kii, madabharii, aa.Nkho.n me.n kho chukaa
yaado.n kii bas se dhuul ban chukaa dil kaa phuul
lataa:	siine pe mai.n rakh duu.N jo haath phir khil jaaye
chaahe merii jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
ho ... pannaa kii tamannaa hai ki hiiraa mujhe mil jaaye
chaahe merii jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye

lataa:	dil to dete hai.n lete hai.n log ka_ii baar - 2
huaa kyaa, kisii se, kiyaa thaa, tumane pyaar
yaado.n ko chho.D de, vaado.n ko to.D de
kishor:	apanii jagah se kaise parabat hil jaaye
chaahe merii jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye

%lataa:	la lalalalalalalala la la la la la la la...
%kishor:	mhmmmmm......mhmmmmhmmmm..lala la la la....
kishor:	bhuulaa naa mere dil ko kabhii jis kaa khayaal - 2
ho sake, to use, mere dil se tuu nikaal
lataa ## (laughs) ##:
naa karuu.N mai.n ye kaam to nahii.n meraa naam    - 2
kishor:	baato.n se ye zakhme-jigar kaise sil jaaye
chaahe merii jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
lataa: ho ... pannaa kii tamannaa hai ki hiiraa mujhe mil jaaye
chaahe merii jaan jaaye chaahe meraa dil jaaye
%kishor:	hoi...lo........tarara roooo...
%    hoi...lo........tarara roooo...
%
% both simultaneously:
%kishor:	la la la la .....
%lata:	hiira hiira  hiira hiira
%    hiira hiira  hiira hiira
%    la la la la .....
%kishor:	la la la la ....
%lataa:   hiira hiira  hiira hiira
%    hiira hiira  hiira hiira
%    la la la la .....
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .