% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: % % mere desh kii dharatii sonaa ugale, ugale hiire motii mere desh kii dharatii ... bailo.n ke gale me.n jab ghu.ngharuu jiivan kaa raag sunaate hai.n Gam kos duur ho jaataa hai khushiyo.n ke ka.nval muskaate hai.n sunake rahaT kii aavaaze.n yuu.N lage kahii.n shahanaaI baje aate hii mast bahaaro.n ke dulhan kii tarah har khet saje, mere desh ... jab chalate hai.n is dharatii pe hal mamataa a.nga.Daaiyaa.N letii hai kyuu.N naa puuje is maaTii ko jo jiivan kaa sukh detii hai is dharatii pe jisane janam liyaa, usane hii paayaa pyaar teraa yahaa.N apanaa paraayaa koI nahii.n hai sab pe hai maa.N upakaar teraa, mere desh ... ye baaG hai gautam naanak kaa khilate hai.n chaman ke phuul yahaa.N gaa.ndhii, subhaashh, Taigor, tilak, aise hai.n aman ke phuul yahaa.N ra.ng haraa harii si.nh nalave se ra.ng laal hai laal bahaadur se ra.ng banaa basa.ntii bhagat si.nh ra.ng aman kaa viir javaahar se, mere desh ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.