% % Contributor: C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: Sridhar Narayanan (sridhar@math.mcgill.ca) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % baat nikalegii to phir duur talak jaayegii log bevajah udaasii kaa sabab pUchhe.nge ye bhii puuchhe.nge ke tum itanii pareshaa.n kyU.N ho u.ngaliyaa.n uThe.ngii suukhe hue baalo.n kii taraf ek nazar dekhe.nge guzare hue saalo.n kii taraf chuu.Diyo.n par bhii kaI ta.nz kiye jaaye.nge kaa.Npate haatho.n pe bhii fikare kase jaaye.nge log zaalim hai.n har ek baat kaa taanaa de.nge baato.n baato.n me.n meraa zikr bhii le aaye.nge - 2 unakii baato.n kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa varanaa chehare kii taasur se samajh jaaye.nge chaahe kuchh bhI ho savaalaat naa karanaa unase mere baare me.n koI baat na karanaa unase baat nikalegii to phir duur talak jaayegii %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.