% % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: % % are dekhii zamaane kii yaarii bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii kyaa likhe mile ab duniyaa, aa.NsU ke sivaa kuchh paas nahii yaa phUl hI phUl the daaman me.n, ab kaaTo.n kii bhii aas nahii matalab kii duniyaa hai saarii bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii vaqt hai meharabaa.n, aarazU hai javaa.n fikr kal kii kare.n, itanii furasat kahaa.n pal bhar kii khushiyaa.n hai saarii bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii u.D jaa u.D jaa pyaase pa.nchhii, ras naa milegaa gharo.n me.n kaagaz ke phUl khilate jahaa.n, baiTh naa un gulazaaro me.n naadAn tamannaa liye dil me.n, ummId kI kashtii bahatii hai ik haath se detii hai duniyaa, sau haatho.n se letii hai ye khel hai kab se zaarii bichha.De sabhii, bichha.De sabhii baarii baarii %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.