khudagarz duniyaa me.n ye, insaan kii pahachaan hai


Song Title: khudagarz duniyaa me.n ye, insaan kii pahachaan hai
Movie Name: Badal
Actor(s)/Actress(es): Sanjeev Kumar
Singer(s): Manna Dey
Music Director(s): Usha Khanna
Lyricist(s): Javed Akhtar
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor: Satish Subramanian (subraman@milli.cs.umn.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: 
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
khudagarz duniyaa me.n ye, insaan kii pahachaan hai
jo paraaI aag me.n jal jaae.n, vo insaan hai

apane liye jiye to kyaa jiye - 2
tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
apane liye jiye to kyaa jiye

(baazaar se zamaane ke
kuchh bhii naa ham khariide.nge) - 2
haa.n, bechakar khushii apanii
logo.n ke Gam khariide.nge
bujhate diye jalaane ke liye - 2
tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
apane liye ...

(apanii khud hii ko jo samajhaa
usane khudaa ko pahachaanaa ) - 2
aazaad fitarate.n insaan
a.ndaaz kyo.n bhalaa maanaa
sar ye nahii.n jhukaane ke liye - 2
tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
apaane liye ...

(himmat bula.nd hai apanii
patthar sii jaan rakhate hai.n ) - 2
kadamo.n tale zamIn to kyaa
ham Asamaan rakhate hai.n
girate huo.n ko uThaane ke liye
tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
apane liye jiye to kyaa jiye

(chal aafataab lekar chal
chal mahataab lekar chal ) - 2
tuu apanii ek Thokar me.n
sau inqalaab lekar chal
zulm aur sitam miTaane ke liye
tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
apane liye jiye to kyaa jiye - 2
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .