% % Contributor: Preeti Ranjan Panda (ppanda@cliff.ICS.UCI.EDU) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % nirdhan kaa ghar lUTane vaalo.n luuT lo dil kaa pyaar pyaar vo dhan hai jisake aage sab dhan hai bekaar insaan bano, insaan bano karalo bhalaaI kaa koI kaam insaan bano duniyaa se chale jaaegaa rah jaaegaa badanaam insaan bano o ... is baag me.n sUraj bhii nikalataa hai liye Gam phUlo.n kii ha.Nsii dekh ke ro detii hai shabanam kuchh der kii khushiyaa.N hai.n to kuchh der kaa maatam kis nii.nd me.n ho ... kis nii.nd me.n ho jaago zaraa dekh lo anjaam, insaan bano o ... laakho.n yahaa.n shaan apanii dikhaate hue aaye dam bhar ko rahe naach gaye dhUp me.n saaye vo bhUl gaye the ke ye duniyaa hai saraay aataa hai koI ... aataa hai koI subah ko jaatA hai koI shaam, insaan bano o ... kyo.n tumane bichhaaye hai.n yahaa.n zulm ke Dere dhan saath na jaayegaa bane kyo.n ho luTere piite ho gariibo.n kaa lahuu shaam savere khud paap karo ... khud paap karo naam ho shaitaan kA badanaam, insaan bano %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.