% % Contributor: C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % % chakke me.n chakkaa, chakke pe gaa.Dii, gaa.Dii me.n nikalii, apanii savaarii tho.Daa agaa.Dii tho.Daa pichhaa.Dii tho.Daa agaa.Dii tho.Daa pichhaa.Dii 1) chunnuu chhabiile munnuu haThiile makhamal kii Topii chhoTuu ra.ngiile laaluu baTaaTaa laalii TamaaTaa kam bane.nge gaTTuu gaThiile peT me.n inakii lambI sI daa.Dhii, chakke me.n ... 2) umar me.n kachche ye chhoTe bachche hai.n bhole bhaale hai.n siidhe sachche Thaane.nge jo bhii kar ke rahe.nge ye apanii dhun ke hai.n puure pakke koi naa samajhe inako anaa.Dii, chakke me.n ... 3) lambaa safar hai Te.Dhii Dagar hai ma.nzil hai mushkil girane kaa Dar hai par naa ruke.nge chalate chale.nge ye saarii duniyaa ab apanaa ghar hai haar na maane.nge ye khilaa.Dii, chakke me.n ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.