% % Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % % chal u.D jaa re pa.nchhii (2) ki ab ye desh huaa begaanaa chal u.D jaa re pa.nchhii ... khatam hue din us Daalii ke jis par teraa baseraa thaa aaj yahaa.n aur kal ho vahaa.n ye jogii vaalaa pheraa thaa sadaa rahaa hai is duniyaa me.n kisakaa aabuu-daanaa chal u.D jaa re pa.nchhii ... tUne tinakaa-tinakaa chun kar, nagarii ek basaa_ii baarish me.n terii bhiigii kaayA, dhuup me.n garamii chhAii Gam naa kar jo terii mehanat tere kaam naa aaii achchhaa hai kuchh le jaane se dekar hii kuchh jaanaa chal u.D jaa re pa.nchhii ... bhuul jaa ab vo mast havaa vo u.Danaa Daalii-Daalii jab aa.Nkh kii kaa.NTaa ban gaI, chaal terii matavaalii kaun bhalaa us baag ko pUchhe, ho naa jisakaa maalii terii qismat me.n likhaa hai jiite jii mar jaanaa chal u.D jaa re pa.nchhii ... rote hai.n vo pa.Nkh-pakheruu saath tere jo khele jinake saath lagaaye tUne aramaano.n ke mele bhiigii aa.Nkho.n se hii unakii, aaj duaaye.n le le kisako pataa ab is nagarii me.n kab ho teraa aanaa chal u.D jaa re pa.nchhii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.