% % Contributor: Preetham Gopalaswamy (preetham@eng.umd.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % % ye raat ye chaa.Ndanii phir kahaa.n, sun jaa dil kii daastaa.n chaa.Ndanii raate.n pyaar kii baate.n kho gayii jaane kahaa.n ye raat ye chaa.Ndanii phir kahaa.n, sun jaa dil kii daastaa.n aatii hai sadaa terii TuuTe hue taaro.n se aahaT terii sunatii huu.n khaamosh nazaaro.n se bhiigii havaa, uma.Dii ghaTaa kahatii hai terii kahaanii tere liye bechain hai sholo.n me lipaTii javaanii siine me bal khaa rahaa hai dhuaa.n, sun jaa dil kii daastaa.n ye raat ye chaa.Ndanii phir kahaa.n, sun jaa dil kii daastaa.n laharo.n ke labo.n par hai.n khoye hue afasaane gulazaar ummiido.n ke sab kho gaye viiraane teraa pataa paauu.n kahaa.n suune hai.n saare Thikaane jaane kahaa.n gum ho gaye jaake vo agale zamaane barabaad hai aarazuu kaa jahaa.n, sun jaa dil kii daastaa.n daastaa.n daastaa.n daastaa.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.