% % Contributor: % Transliterator: Mani Upadhyaya (mani@eng.utoledo.edu) % Credits: Sarvesh Asthana (sasthana@cup.hp.com) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % % dulhan chalI, o pahan chalI, tiin ra.ng kii cholii baaho.n me.n laharaaye ga.ngaa jamunaa, dekh ke duniyaa Dolii dulhan chalI, o pahan chalI ... taajamahal jaisii taajaa hai suurat chalatii phiratii aja.ntaa kii muurat mel milaap kii meha.ndI rachaaye balidaano.n kii ra.ngolii dulhan chalI ... aur chamakegii abhii aur nikharegI cha.Dhatii umariyaa hai aur nikharegI apanii aazaadii kI dulhaniyaa, ? ke Upar holii dulhan chalI ... mukh chamake jyo.n himaalaya kI choTI ho naa pa.Dosii kii niiyat khoTI o ghar vaalo.n jaraa isako bachaanaa ye to hai ba.Dii bholI dulhan chalI ... desh prem hii aazaadii kii dulhaniyaa kaa var hai is alabelii dulhan kaa sinduur suhaag amar hai maataa hai kastuurabaa jaisii baabul gaa.ndhii jaise chaachaa jisake neharu shaastrI Dare.n naa dushman kaise Dare.n naa dushman kaise viir shivaajii jaise viiren lakshmii ba_ii bahanaa lakshmaN jis ke bodh bhagat singh uska phir kyaa kahanaa jisake liye javaan bahaa sakate hai.n Kuun kii ga.ngaa aage piichhe tiino.n senaa le ke chale.n tira.ngaa senaa chalatii hai le ke tira.ngaa - 2 ho.n koii ham praant ke vaasI ho.n koii bhii bhAshhaa-bhAshhii sabase pahale hai.n bhaaratavaasii - 2 %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.