apane liye jiye.n to kyaa jiye, tuu jii, ai dil, zamaane ke liye


Song Title: apane liye jiye.n to kyaa jiye, tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
Movie Name: Badal
Actor(s)/Actress(es): Sanjeev Kumar
Singer(s): Manna Dey
Music Director(s): Usha Khanna
Lyricist(s): Javed Akhtar
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at)
% Credits: 
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
dhiire:    khudagaz.r duniyaa me.n ye, inasaan kii pahachaan hai
jo paraa_ii aag me.n jal jaae, vo inasaan hai

tej:    apane liye jiye to kyaa jiye - 2
tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
apane liye jiye to kyaa jiye

baazaar se zamaane ke, kuchh bhii na ham khariide.nge - 2
haa.N, bechakar khushii apanii
logo.n ke Gam khariide.nge
bujhate diye jalaane ke liye - 2
tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
apane liye jiye to kyaa jiye

(apanii khudii ko jo samajhaa
usane khudaa ko pahachaanaa ) - 2
aazaad fitarate.n inasaa.n
andaaz kyo.n bhulaa maanaa
sar ye nahii.n jhukaane ke liye - 2
tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
apane liye jiye to kyaa jiye

(himmat bula.nd hai apanii
patthar sii jaan rakhate hai.n ) - 2
kadamo.n tale zamii.n to kyaa
ham Asamaan rakhate hai.n
girate huo.n ko uThaane ke liye
tuu jii, ai dil, zamaane ke liye
apane liye jiye to kyaa jiye
%
%------------------ Meanings of Some words ---------
%     buland:   high/tall
%     aaftaab:  sun/sunlight
%     mahtaab:  moonlight
%     inqilaab: revolution
%---------------------------------------------------
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .