ye kahaa.N aa gaye ham yuu.nhii sAth sAth chalate


Song Title: ye kahaa.N aa gaye ham yuu.nhii sAth sAth chalate
Movie Name: Silsila
Actor(s)/Actress(es): Amitabh Bachchan, Rekha, Jaya Bhaduri, Sanjeev Kumar Sashii Kapoor
Singer(s): Amitabh Bachchan, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Shiv, Hari
Lyricist(s): Javed Akhtar
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits: Kannan Muthukaruppan (mkannan@plane.cs.berkeley.edu)
%          Anil (U56779@uicvm.uic.edu)
%          Vivek Vohra (vivek@oz.che.rochester.edu)
%          Anand Krishnamoorthy (anandk@hal.com)
%          nvshuk01@ulkyvx.ct.louisville.edu
% Editor:  Rajiv Shridhar 
% Last Modified: 06/12/1996
%
%
amitaabh:
mai.n aur merI tanahaaii, aksar ye baate.n karate hai.n
tum hotI.n to kaisaa hotaa, tum ye kahatii.n, tum vo kahatii.n 
tum is baat pe hairaa.n hotii.n, tum us baat pe kitanii ha.Nsatii.n 
tum hotI.n to aisA hotaa, tum hotI.n to vaisaa hotaa 
mai.n aur merI tanahaaii, aksar ye baate.n karate hai.n 
ruu ruu ...

lataa: 
ye kahaa.N aa gaye ham,  yuu.Nhii sAth sAth chalate  
terI baaho.n me.n hai jaanam, mere jism-o-jaan pighalate - 2

amitaabh:
ye raat hai, yaa tumhaarii zulfe.n khulii huii hai.n
ye chaa.NdanI hai yaa tumhaarI nazaro.n se, merI raate.n dhulI huI hai.n
ye chaa.Nd hai, yaa tumhaaraa ka.Ngan, sitaare hai.n yaa tumhaaraa aa.Nchal
havaa kA jho.nkaa hai, yaa tumhaare badan kii khushabuu 
ye pattiyo.n kii hai sarasaraahaT, ke tumane chupake se kuchh kahaa 
ye sochataa huu.N mai.n kabase gumasum
ki jabaki mujhako bhI ye khabar hai, ki tum nahii.n ho, kahii.n nahii.n ho
magar ye dil hai ki kah rahaa hai, tum yahii.n ho, yahii.n kahii.n ho  

lataa: 
tuu badan hai mai.n huu.N saayaa, tU nA ho to mai.n kahaa.N huu.N 
mujhe pyaar karane vaale, tuu jahaa.n hai mai.n vahaa.n huu.N 
hame.n milanaa hii thaa hamadam, isii raah pe nikalate 
ye kahaa.N aa gaye ham 

merI saa.Ns saa.Ns mahake, koI bhiinaa bhiinaa chandan
terA pyaar chaa.Ndanii hai, meraa dil hai jaise aa.Ngan 
koi aur bhI mulaayam,  (merI shaam Dhalate Dhalate - 2) 
ye kahaa.N aa gaye ham 

amitaabh:
majabuur ye haalaat, idhar bhI hai.n udhar bhii 
tanahaaii ke ye raat, idhar bhI hai udhar bhii 
kahane ko bahut kuchh hai, magar kisase kahe.n ham 
kab tak yuu.Nhii khaamosh rahe.n, aur sahe.n ham 
dil kahataa hai duniyA kii har ik rasm uThA de.n 
dIvaar jo ham dono me.n hai, aaj giraa de.n 
kyo.n dil me.n sulagate rahe.n, logo.n ko bataa de.n 
haa.n hamako muhabbat hai, mohabbat hai, mohabbat hai 
ab dil me.n yahii baat, idhar bhI hai, udhar bhii 

lataa: 
ye kahaa.N aa gaye ham, ye kahaa.N aa gaye ham 
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .