Gam diye mustaqil, itanaa naazuk hai dil, ye na jaanaa


Song Title: Gam diye mustaqil, itanaa naazuk hai dil, ye na jaanaa
Movie Name: Shah Jahan
Actor(s)/Actress(es): Kundan Lal Saigal, Suraiyya
Singer(s): Kundan Lal Saigal
Music Director(s): Naushad
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Kalyan Kolachala  
% Transliterator: Rajiv Shridhar  
% Date: 07/09/1996
% Credits: Sanjeev Ramabhadran  
%          Balaji A.S. Murthy 
% Comments: Released in 1946
%
%
Gam diye mustaqil, itanaa naazuk hai dil, ye na jaanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa

de uThe daag lo unase ai mahalo.n kah sunanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa

dil ke haatho.n se daaman chhu.Daakar
Gam kii nazaro.n se nazare.n bachaakar
uThake vo chal diye, kahate hii rah gaye ham fasaanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa

koii merii ye ruudaad dekhe, ye mohabbat kii bedaad dekhe
phuuk rahaa hai jigar, pa.D rahaa hai magar muskuraanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa

Gam diye mustaqil, itanaa naazuk hai dil, ye na jaanaa
haay haay ye zaalim zamaanaa
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .