% % Contributor: Ramesh Hariharan (rameshh@acad1.tp.ac.sg) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Jul 27 12:53:59 EDT 1995 % Credits: U.V. Ravindra (uvr@tata_elxsi.soft.net) % Irfan Moinuddin (moin@helix.midway.uchicago.edu) % Editor: % Comments: % % gulashan kii faqat phuulo.n se nahii.n kaa.nTo.n se bhii ziinat hotii hai jiine ke liye is duniyaa me.n Gam kii bhii zaruurat hotii hai ai vaa_iz-e-naadaan karataa hai tuu ek qayaamat kaa charchaa yahaa.N roz nigaahe.n milatii hai.n yahaa.N roz qayaamat hotii hai vo purasish-e-Gam ko aaye hai.n kuchh kah na sakuu.n chup rah na sakuu.n Kaamosh rahuu.N to mushkil hai kah duu.N to shikaayat hotii hai karanaa hii pa.Degaa zaqat-e-alam piine hii pa.De.nge yah aa.Nsuu fariyaad-o-fuGaa.n se ai naadaan tauhiin-e-mohabbat hotii hai jo aake ruke daaman pe 'sabaa' vo ashq nahii.n hai.n paanii hai jo aa.Nsuu na chhalake aa.Nkho.n se us ashq kii qiimat hotii hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.