% % Contributor: Himanshu Gupta% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 08/09/1995 % Credits: Ashok Dhareshwar % Editor: Rajiv Shridhar % Last modified: 06/04/1996 % % ma: badalii badalii duniyaa hai merii jaaduu hai ye kyaa tere nainan kaa la: -2 la: kahatii thii sadaa dilakii dha.Dakan -2 tuu baiTh bichhaake apane nayan sachchii hai agar ye terii lagan lauT aaegaa saathii jiivan kaa ma/la: badalii badalii duniyaa ... ma: mere giito.n ke cha.nchal svar -2 aae ho.nge baadal banakar barase ho.nge is aa.Ngan par deke sa.ndes mere man kaa ma/la: badalii badalii duniyaa ... la: is raat ko chaa.Nd tale ye milan ma/la: is raat ko chaa.Nd tale ye milan la: chup dekh rahaa hai niil gagan ma/la: dauharaayegaa ye mad-mast pavan sa.ngiit hamaarii dha.Dakan kaa ma/la: badalii badalii duniyaa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.