% % Contributor: Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Aug 17 17:52:52 EDT 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % r: (tumane pukaaraa aur ham chale aae dil hathelii par le aae re) -2 su: (tumane pukaaraa aur ham chale aae jaan hathelii par le aae re) -2 r: aao baiTho hamaare pahaluu me.n panaah le lo merii jalatii hu_ii aa.Nkho.n pe ye aa.Nkhe.n rakh do ai mere pyaar ke Kvaabo.n kii hasii.n shahazaadii ho.nTh kyo.n kaa.np rahe hai.n, zaraa kuchh to bolo su: tumane pukaaraa aur ham chale aae jaan hathelii par le aae re r: tumane pukaaraa aur ham chale aae su: aaj khelo merii zulfo.n se, ijaazat hai tumhe.n mujhako chhuu lo, merii nas nas me.n sharaare bhar do mere diladaar merii aa.Nkho.n me.n rahane vaale mai.n tumhaarii huu.N, merii maa.Ng me.n taare bhar do r: tumane pukaaraa aur ham chale aae dil hathelii par le aae re r: naam raushan hai tumhii.n se mere afasaane kaa zi.ndagii naam hai ulfat me.n jiie jaane kaa tum agar hamako na milate to ye suurat hotii log le jaate janaazaa tere diivaane kaa su: tumane pukaaraa aur ham chale aae jaan hathelii par le aae re r: tumane pukaaraa aur ham chale aae %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.