% % Contributor: Biju Parameshwaran (paramesh@enuxsa.eas.asu.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Sep 10 18:42:22 EDT 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % zaKamo.n se kalejaa chuur huaa had ho ga_ii Gam me.n naalo.n kii kyaa huu.Nhii tabaahii hotii hai duniyaa me.n mohabbat-vaalo.n kii ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.n hai -2 jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2 kahii.n hai kafas me.n kisiikaa baseraa kahii.n hai nigaaho.n me.n Gam kaa a.ndheraa kahii.n dil kaa luTataa huaa kaaravaa.n hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2 yahaa.N aadamii aadamii kaa hai dushman yahaa.N chaak inasaaniyat kaa hai daaman mohabbat kaa uja.Daa huaa aashiyaa.n hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2 ye beraham duniyaa samajh me.n na aae yahaa.N kar rahe hai.n sitamaGar Kudaaii na jaane tuu ai duniyaavaale kahaa.N hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2 ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.n hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.