% % Contributor: Samiuddin Mohammed (sm0e@lehigh.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Sep 1 15:17:07 EDT 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % tere sadake balam na kar koii Gam ye samaa ye jahaa.n phir kahaa.N ho, tere sadake balam na kar koii Gam din hai.n suhaane, phir kaun jaane aae na aae bahaar tuu Gam ko piile, dam bhar ko jiile, duniyaa kaa kyaa aaitabaar ho jii, piyaa, duniyaa kaa kyaa aitabaar tere sadake balam... kaa.nTo.n me.n daaman ulajhe na saajan phuulo.n me.n ha.Nsake guzaar tho.Dii ha.Nsii hai, tho.Dii khushii hai, dukh zi.ndagii me.n hazaar ho jii, piyaa, dukh zi.ndagii me.n hazaar tere sadake balam... naiyaa milan kii mauje.n pavan kii, kahatii hai.n mujhako pukaar gaataa chalaa chal, ha.Nsataa chalaa chal, jiivan kii nadiyaa ke paar ho jii, piyaa, jiivar kii nadiyaa ke paar tere sadake balam na kar koii Gam ye samaa ye jahaa.n phir kahaa.N %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.