% % Contributor: Ramesh Hariharan (rameshh@acad1.tp.ac.sg) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Sep 10 14:22:50 EDT 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % o mai.n royaa parades me.n, bhiigaa maa.N kaa pyaar dukh ne dukh se baat kii, bin chiThThii bin taar chhoTaa karake dekhiye, jiivan kaa vistaar aa.Nkho.n bhar aakaash hai, baaho.n bhar sa.nsaar e leke tan ke naap ko, ghuume bastii gaa.Nv har chaadar ke gher se baahar nikale paa.Nv sabakii puujaa ek sii, alag-valag har riit masjid jaae maulvii, koyal gaae giit puujaa ghar me.n muurtii, miira ke sa.ng shyaam jisakii jitanii chaakarii, utane usake daam saato.n din bhagavaan ke, kyaa ma.ngal kyaa piir jis din soe der tak, bhuukaa rahe fakiir achchhii sa.ngat baiThakar, sa.ngii badale ruup jaise milakar aam se, miiThii ho ga_ii dhuup sapanaa jharnaa nii.nd kaa, jaagii aa.Nkhe.n pyaas paanaa khonaa khojanaa, saa.Nso.n kaa itihaas chaahe giitaa vaachie, yaa pa.Dhie quraan meraa teraa pyaar hii, har pustak kaa GYaan %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.