% % Contributor: Ashok Dhareshwar (adhareshwar@worldbank.org) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Jan 19 19:09:51 EST 1996 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % ##prelude:## lataa: koii iqaraar kare, yaakoii inakaar kare ham se ek baar, nigaahe.n to zaraa chaar kare rafii: tum hasii.n ho tumhe.n sab dil me.n jagah dete hai.n ham me.n kyaa baat hai, aisii jo koii pyaar kare lataa: (mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai) -2 mai.n tumhii se puuchhatii huu.N mujhe kyo.n pukaaratii hai.n, ye javaa.n javaa.n fizaae.n mujhe mil ga_ii kahaa.N se, ye hasii.n hasii.n adaae.n ye hasii.n hasii.n adaae.n mere zi.ndagii pe chhaaii, ye na_ii bahaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N jo qadam uThaa rahii huu.N, vo qadam bahak rahaa hai mile tum se kyaa nigaahe.n, meraa dil dha.Dak rahaa hai meraa dil dha.Dak rahaa hai mere dil pe haath rakh do, tumhe i.ntazaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.