% % Contributor: David Anthony Windsor% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 06/03/1996 % % dekhaa ek Kvaab to ye silasile hue duur tak nigaaho.n me.n hai.n gul khile hue ye Gilaa hai aap kii nigaaho.n me.n phuul bhii ho.n darmiyaa.n to faasale hue dekhaa ek ... merii saa.Nso.n me.n basii Kushabuu terii ye tere pyaar kii hai jaadugarii terii aavaaz hai havaao.n me.n pyaar kaa ra.Ng hai fizaao.n me.n dha.Dakano.n me.n tere giit hai.n khile hue kyaa kahuu.N ke sharm se hai.n lab sile hue dekhaa ek Kvaab ... meraa dil hai terii panaaho.n me.n ab chhupaa luu.N mai.n tujhe baaho.n me.n terii tasviir hai nigaaho.n me.n duur tak roshanii hai raaho.n me.n kal agar na roshanii ke kaafile hue pyaar ke hazaar diip hai.n jale hue dekhaa ek Kvaab ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.