% % Contributor: Chetan Vinchhi% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 08/09/1996 % Credits: Arun Nair % Last Modified: 1/10/1997 % % nirbal se la.Daaii balavaan kii -2 yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii -2 ik raat a.ndhiyaarii, thii.n dishaae.n kaarii-kaarii ma.nd-ma.nd pavan thaa chal rahaa a.ndhiyaare ko miTaane, jag me.n jyot jagaane ek chhoTaa-saa diiyaa thaa kahii.n jal rahaa apanii dhun me.n magan, usake tan me.n agan usakii lau me.n lagan bhagavaan kii yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii kahii.n duur thaa tuufaan... kahii.n duur thaa tuufaan, diiye se thaa balavaan saare jag ko masalane machal rahaa jhaa.D ho.n yaa pahaa.D, de vo pal me.n ukhaa.D soch-soch ke zamii.n pe thaa uchhal rahaa ek nanhaa-saa diiyaa, usane hamalaa kiyaa -2 ab dekho liilaa vidhi ke vidhaan kii yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii duniyaa ne saath chho.Daa, mamataa ne mukh mo.Daa ab diiye pe yah dukh pa.Dane lagaa -2 par himmat na haar, man me.n maranaa vichaar atyaachaar kii havaa se la.Dane lagaa sar uThaanaa yaa jhukaanaa, yaa bhalaaii me.n mar jaanaa gha.Dii aaii usake bhii imtehaan kii yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii phir aisii gha.Dii aaii - 2, ghanaghor ghaTaa chhaaii ab diiye kaa bhii dil lagaa kaa.Npane ba.De zor se tuufaan, aayaa bharataa u.Daan us chhoTe se diiye kaa bal maapane tab diiyaa dukhiyaaraa, vah bichaaraa besahaaraa chalaa daav pe lagaane, (baazii praaN kii) - 4 chalaa daav pe lagaane, baazii praaN kii yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii la.Date-la.Date vo thakaa, phir bhii bujh na sakaa -2 usakii jyot me.n thaa bal re sachchaaii kaa chaahe thaa vo kamazor, par TuuTii nahii.n Dor usane bii.Daa thaa uThaayaa re bhalaaii kaa huaa nahii.n vo niraash, chalii jab tak saa.Ns use aas thii prabhu ke varadaan kii yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii sar paTak-paTak, pag jhaTak-jhaTak na haTaa paayaa diiye ko apanii aan se baar-baar vaar kar, a.nt me.n haar kar tuufaan bhaagaa re maidaan se atyaachaar se ubhar, jalii jyot amar rahii amar nishaanii balidaan kii yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii nirbal se la.Daaii balavaan kii yah kahaanii hai diiye kii aur tuufaan kii %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.