% % Contributor: Samiuddin Mohammed% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/25/1996 % % ai mere mushkilakushaa, fariyaad hai, fariyaad hai aapake hote hue duniyaa merii barabaad hai bekas pe karam kiijiye, sarkaar-e-madiinaa bekas pe karam kiijiye gardish me.n hai taqadiir bha.Nvar me.n hai safiina -2 bekas pe karam kiijiye, sarkaar-e-madiinaa bekas pe karam kiijiye hai vaqt-e-madad aaii biga.Dii ko banaane goshiidaa nahii.n aapase kuchh dil ke fasaane zaKmo.n se bharaa hai kisii majabuur kaa siinaa bekas pe karam kiijiye ... chhaaii hai musiibat kii ghaTaa gesuo.n vaale, gesuo.n vaale lillaah merii Duubatii kashtii ko bachaale tuufaan ke aasaar hai.n, dushvaar hai jiinaa bekas pe karam kiijiye ... gardish me.n hai taqadiir bha.Nvar me.n hai safiina bekas pe karam kiijiye, sarkaar-e-madiinaa bekas pe karam kiijiye %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.