% % Contributor: Neha Desai% Transliterator: Rajiv Shridhar % Credits: Balaji A.S. Murthy % Date: 10/29/1996 % Comments: Released in 1955 % % aa.Nkho.n me.n samaa jaao, is dil me.n rahaa karanaa taaro.n me.n ha.Nsaa karanaa, phuulo.n me.n khilaa karanaa aa.Nkho.n me.n samaa jaao, is dil me.n rahaa karanaa jab se tumhe.n dekha hai, jab se tumhe.n paayaa hai kuchh hosh nahii.n mujhako, ek nashaa saa chhaayaa hai ab baat jo karanii ho, aa.Nkho.n se kahaa karanaa (aaiye kaash dha.Dakataa dil, kuchh der Thahar jaae ye raat, mohabbat kii, yuu.Nhii na guzar jaae) - 2 baakii abhii tum par, ye jaan fidaa karanaa aa.Nkho.n me.n samaa jaao, is dil me.n rahaa karanaa (kismat na dikhaae ab, gha.Diyaa.N hame.n furakat kii har raat yuu.Nhii chamake, taqadiir mohabbat kii) - 2 aaiye chaa.Nd sitaaro.n tum milajul ke duaa karanaa aa.Nkho.n me.n samaa jaao, is dil me.n rahaa karanaa %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.