% % Contributor: Amarjit% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/31/1996 % % patthar hai khudaa, patthar ke sanam, patthar ke hii inasaan paae hai.n tum shahar-e-mohabbat kahate ho, ham jaan bachaake aae hai.n butaKaanaa samajhate ho jisako, puuchho na vahaa.N kyaa haalat hai ham log vahii.n se lauTe hai.n, bas shukr hai ke lauT aae hai.n ham soch rahe hai.n muddat se, ab umr guzaare.nge bhii to kahaa.N saharaa me.n Kushii ke phuul nahii.n, sharao.n me Gamii ke saae hai.n ho.nTho.n pe tabassum halakaa saa, aa.Nkho.n me.n namii sii hai faakir ham ahl-e-mohabbat par aksar aise bhii zamaane aae hai.n patthar hai khudaa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.