% % Contributor: Vandana Venkatesan% Transliterator: Vandana Venkatesan % Editor: Rajiv Shridhar % Date: 11/01/1996 % % aage bhii jaane na tuu, piichhe bhii jaane na tuu jo bhii hai, bas yahii ek pal hai anjaane saayo.n kaa raaho.n me.n Deraa hai andekhii baaho.n ne ham sabako gheraa hai ye pal ujaalaa hai baaqii a.ndheraa hai ye pal ga.Nvaanaa na ye pal hii teraa hai jiinevaale soch le yahii vaqt hai kar le puurii aarazuu aage bhii ... is pal kii jalavo.n ne mahafil sa.nvaarii hai is pal kii garmii ne dha.Dakan ubhaarii hai is pal ke hone se duniyaa hamaarii hai ye pal jo dekho to sadiyo.n pe vaari hai jiinevaale soch le yahii vaqt hai kar le puurii aarazuu aage bhii ... is pal ke saae me.n apanaa Thikaanaa hai is pal kii aage kii har shay fasaanaa hai kal kisane dekhaa hai kal kisane jaanaa hai is pal se paaegaa jo tujhako paanaa hai jiinevaale soch le yahii vaqt hai kar le puurii aarazuu aage bhii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.