% % Contributor: Neha Desai% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 02/20/1996 % % lataa: dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai aavaaz de tuu kaun sii nagarii me.n chhupaa hai dil to.Dane vaale ... tuu ham ko jo mil jaae to haal apanaa sunaae.n Kud roe.n kabhii aur kabhii tujhe rulaae.n vo daaG dikhaae.n jo hame.n tuune diyaa hai rafii: aaiye dil ke sahaare tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai siine me.n terii yaad kaa tuufaan uThaa hai aaiye dil ke sahaare dil me.n to ye hasarat hai tere paas mai.n aauu.N nazaro.n se giraa huu.N to nazar kaise milaauu.N nazar kaise milaauu.N badanaam huu.N, naakaam huu.N, kyaa mujh me.n rahaa hai aaiye dil ke sahaare, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai lataa: dikhalaa ke dinaaraa mujhe mallaah ne luuTaa kashtii bhii ga_ii, haath se, patavaar bhii chhuuTaa patavaar bhii chhuuTaa ab aur na jaane merii taqadiir me.n kyaa hai dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai rafii: bechain udhar tuu hai, to majabuur idhar ham baiThe hai.n chhupaae hue, ashqo.n me.n teraa Gam ashqo.n me.n teraa Gam har choT ubhar aaii hai, har zaKm haraa hai lataa: dil to.Dane vaale, tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai tujhe dil Dhuu.NDh rahaa hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.