% % Contributor: Malini Kanth% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 03/30/1997 % Editor: Rajiv Shridhar % % hariva.nshha raaya bachchan : % Soft Music madiraalaya jaane ko ghar se chalataa hai piine vaalaa -2 kis path se jaauu.N, asama.njas me.n hai vo bholaa bhaalaa alag alag path batalaate sab, alag alag path batalaate sab, par mai.n ye batalaataa huu.N raah paka.D tuu ek chalaa chal, paa jaaiiegaa madhushaalaa paa jaaiiegaa madhushaalaa % music fading slowly mannaa De : sun kal kal, chhal chhal, madhughaT se giratii pyaalo.n me.n haalaa sun kal kal, chhal chhal kal kal, chhal chhal, madhughaT se giratii pyaalo.n me.n haalaa sun runajhun runajhun jal vitaraN, karatii madhusaa kii baalaa bas aa pahu.Nche, duur nahii.n bas aa pahu.Nche, duur nahii.n, kuchh chaar kadam ab chalanaa hai chahak rahe sun piinevaale, mahak rahii le madhushaalaa chahak rahe sun piinevaale, mahak rahii le madhushaalaa laal suraa kii dhaar lapaT sii, kah na ise denaa jvaalaa kah na ise denaa jvaalaa phenil madiraa hai, mat isako kah denaa ura kaa haalaa dard nashaa hai is madiraa kaa, dard nashaa hai is madiraa kaa, vigat smR^itiyaa.n saaqii hai pii.Daa me.n aanand jise ho, aaye merii madhushaalaa pii.Daa me.n aanand jise ho, aaye merii madhushaalaa dharmagra.nth sab jalaa chukii hai, dharmagra.nth sab jalaa chukii hai, jisake antar kii jvaalaa mandir masajid girije sab ko, to.D chukaa jo matavaalaa paNDit momin paadariyo.n ke phando.n ko jo kaaT chukaa kar sakatii hai aaj usii kaa svaagat merii madhushaalaa kar sakatii hai aaj usii kaa svaagat merii madhushaalaa laalaait adharo.n se jisane haay nahii.n chuumii haalaa harsh vika.Npit karase jisane haay na chhuaa madhu kaa pyaalaa haath paka.D lajjit saaqii kaa, haath paka.D lajjit saaqii kaa, paas nahii.n jisane khii.nchaa paas nahii.n jisane khii.nchaa vyarth sukhaa Daalii jiivan kii, usane madhumay madhushaalaa vyarth sukhaa Daalii jiivan kii, usane madhumay madhushaalaa bane pujaarii, premii saaqii, ga.ngaajal paavan haaraa rahe pherataa, avirat gati se madhu ke pyaalo.n kii maalaa aur liye jaa, aur piye jaa aur liye jaa, aur piye jaa, isii ma.ntra kaa jaap kare mai.n shiv kii pratimaa ban baiThuu.N, mandir ho ye madhushaalaa mai.n shiv kii pratimaa ban baiThuu.N, mandir ho ye madhushaalaa ek baras me.n, ek baar hii, jagatii holii kii jvaalaa ek baar hii lagatii baazii, jalatii diipo.n kii maalaa duniyaa vaalo.n kintu kisii din aa madiraalaya me.n dekho aa madiraalaya me.n dekho din ko holii, raat divaalii, roz manaatii madhushaalaa din ko holii, raat divaalii, roz manaatii madhushaalaa adharo.n par ho koii bhii ras, jiivhaa par lagatii haalaa bhaajan ho koii haatho.n me.n, lagataa rakhkhaa hai pyaalaa har suurat, saaqii kii suurat har suurat, saaqii kii suurat, mai.n parivartit ho jaatii aa.Nkho.n ke aage ho kuchh bhii, aa.Nkho.n me.n hai madhushaalaa aa.Nkho.n ke aage ho kuchh bhii, aa.Nkho.n me.n hai madhushaalaa sumukhii tumhaaraa, sundar mukh hii, mujhako ka.nchan kaa pyaalaa chhalak rahii hai, chhalak rahii hai chhalak rahii hai jisame maaNik ruup madhur maadak haalaa mai.n hii saaqii banataa mai.n hii piine vaaalaa banataa huu.N piine vaaalaa banataa huu.N jahaa.N kahii.n mil baiThe ham tum, vahii.n gayii ho madhushaalaa jahaa.N kahii.n mil baiThe ham tum, vahii.n gayii ho madhushaalaa do din hii madhu mujhe pilaa kar, Kuub uThii saaqii baalaa do din hii madhu mujhe pilaa kar, Kuub uThii saaqii baalaa bhar kar ab khisakaa detii hai, vah mere aage pyaalaa naaz adaa andaazo.n se ab, haay pilaanaa duur huaa ab to kar detii hai keval, farza-adaaii madhushaalaa ab to kar detii hai keval, farza-adaaii madhushaalaa ab to kar detii hai keval, farza-adaaii madhushaalaa farza-adaaii madhushaalaa chhoTe se jiivan me.n kitanaa pyaar karuu.n, pii luu.n haalaa chhoTe se jiivan me.n kitanaa pyaar karuu.n, pii luu.n haalaa aane ke hii saath jagat me.n, aane ke hii aane ke hii saath jagat me.n, kahalaayaa jaanevaalaa svaagat ke hii saath vidaa kii, svaagat ke hii saath vidaa kii, hotii dekho taiyaarii band lagii hone khulate hii, band lagii hone khulate hii, merii jiivan madhushaalaa merii jiivan madhushaalaa shaant sakii ho, ab tak saaqii shaant sakii ho, ab tak saaqii pii kar kis ura kii jvaalaa aur aur kii raTan lagaataa, aur aur kii raTan lagaataa, jaataa har piine vaalaa kitanii ichchhaaye.n harjaane vaalaa, chho.D yahaa.n jaataa kitane aramaano.n kii ban kar kabr kha.Dii hai madhushaalaa kitne armaanoN ki ban kar kabr khaDi hai madhushala yam aayegaa saaqii ban kar, saath liye kaalii haalaa yam aayegaa saaqii ban kar, saath liye kaalii haalaa pii, na hosh me.n phir aayegaa, suraa-visudh yah matavaalaa yah antim behoshii, antim saaqii, antim pyaalaa hai pathik, pyaar se piinaa isako, pathik, pyaar se piinaa isako, phir na milegii madhushaalaa phir na milegii madhushaalaa giratii jaatii hai din pratidin pranayaNii praaNo.n kii haalaa bhagn huaa jaataa din pratidin subhage meraa tan pyaalaa ruuTh rahaa hai mujhase ruupasi, din din yauvan kaa saaqii, suukh rahii hai din din sundarii suukh rahii hai din din sundarii, merii jiivan madhushaalaa merii jiivan madhushaalaa Dhalak rahii ho tan ke ghaT se, sa.naginii jab jiivan haalaa, paatra garal kaa le jab antim saaqii ho aanevaalaa haath-paras bhuule pyaale kaa -2 haath-paras bhuule pyaale kaa, svaad-suraa jiivhaa bhuule, kaano me.n tum kahatii rahanaa kaano me.n tum kahatii rahanaa madhukaN pyaalaa madhushaalaa -2 mere adharo.n par ho antim, vastu na tulasiDal pyaalaa merii jiivhaa par ho antim, vastu na ga.ngaajal haalaa mere shav ke piichhe chalane vaalo.n, yaad ise rakhanaa raam naam hai satya na kahanaa -2 kahanaa sachchii madhushaalaa -2 mere shav par vah roye, ho jisake aa.Nsuu.n me.n haalaa aah bhare vah, jo ho surbhit madiraa pii kar matavaalaa de mujhako ve ka.ndhaa jinake pag mad Dagamag hote ho.n aur jaluu.n us thor jahaa.n par kabhii rahii ho madhushaalaa aur jaluu.n us thor jahaa.n par kabhii rahii ho madhushaalaa aur chitaa par jaaye u.n.Delaa paatr na ghriT kaa, par pyaalaa khaa.nT ba.ndhe a.nguur lataa me.n madhya na jal ho, par haalaa praaN priiye yadi shraardha karo tum meraa to aise karanaa piine vaalo.n ko bulavaa kar, khulavaa denaa madhushaalaa piine vaalo.n ko bulavaa kar, khulavaa denaa madhushaalaa naam agar koii puuchhe to, kahanaa bas piinevaalaa kaam dhaalaanaa, aur dhaalaanaa sabko madiraa ka pyaalaa jaati priiye, jaati priiye puuchhe yadi koii, kah denaa diivaano.n kii dharm bataanaa pyaalo.n kii le maalaa japanaa madhushaalaa dharm bataanaa pyaalo.n kii le maalaa japanaa madhushaalaa pitR^i paksh me.n putra uthaanaa ardhya na kar me.n, par pyaalaa baiTh kahii.n par jaanaa, ga.ngaa saagar me.n haalaa kisii jagah kii miTTii bhiige, triptii mujhe mil jaaegii tarpaN arpaN karanaa mujhako, pa.Dh pa.Dh kar ke madhushaalaa tarpaN arpaN karanaa mujhako, pa.Dh pa.Dh kar ke madhushaalaa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.