aaj mausam ba.Daa beiimaan hai, aaj mausam


Song Title: aaj mausam ba.Daa beiimaan hai, aaj mausam
Movie Name: Loafer
Actor(s)/Actress(es): Dharmendra, Mumtaz
Singer(s): Mohammad Rafi
Music Director(s): Laxmikant, Pyarelal
Lyricist(s): Anand Bakhshi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Neha K. Desai (umdesai@cc.umanitoba.ca)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Sun Jan 21 16:37:29 EST 1996
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com)
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Comments:  
%
%
aaj mausam ba.Daa beiimaan hai
ba.Daa beiimaan hai, aaj mausam
aane vaalaa koii tuufaan hai
koii tuufaan hai, aaj mausam

kyaa huaa hai, huaa kuchh nahii.n hai
baat kyaa hai pataa kuchh nahii.n hai
mujhase koii Kataa ho ga_ii to
is me.n merii Kataa kuchh nahii.n hai
Kuubasuurat hai tuu rut javaan hai
aaj mausam ba.Daa beiimaan hai

kaalii-kaalii ghaTaa dar rahii hai
Tha.nDii aahe.n havaa bhar rahii hai
sabako kyaa-kyaa gumaan ho rahe hai.n
har kalii ham pe shak kar rahii hai
phuulo.n kaa dil bhii kuchh badagumaan hai

ai mere yaar ai husn vaale
dil kiyaa mai.nne tere havaale
terii marzii pe ab baat Thaharii
jiine de chaahe tuu maar Daale
tere haatho.n me.n ab merii jaan hai
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .