shuruu hotaa hai phir baato.n kaa mausam


Song Title: shuruu hotaa hai phir baato.n kaa mausam
Movie Name: Sholay
Actor(s)/Actress(es): Dharmendra, Hema Malini, Sanjeev Kumar, Jaya Bhaduri, Amjad Khan, Iftekhar, A. K. Hangal, Leela Mishra, Helen, Amitabh Bachchan
Singer(s): Kishore Kumar, Manna Dey, Bhupinder, Anand Bakshi, Others
Music Director(s): Rahul Dev Burman
Lyricist(s): Anand Bakhshi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
%
% Contributor: David Windsor 
% Transliterator: David Windsor 
% Editor: Rajiv Shridhar 
% Date: 10/25/1996
%
%
shuruu hotaa hai phir baato.n kaa mausam
suhaanii chaa.Ndanii raato.n kaa mausam
bujhaae.N kis tarah dil kii lagii ko
lagaae.N aag ham is chaa.Ndanii ko
ki chaa.Nd saa koii chaharaa na pahaluu me.n ho

arz kiyaa hai ...
haay, ki chaa.Nd saa koii chaharaa na pahaluu me.n ho
to chaa.Ndanii kaa mazaa nahii.n aataa
are, jaam piikar sharaabii na gir jaae to -2
mayakashii kaa mazaaa nahii.n aataa
ki chaa.Nd saa koii chaharaa ...

zi.ndagii hai mukammal adhuurii nahii.n
chaa.Nd saa koii chaharaa zaruurii nahii.n
husn saiyyaad hai, ishq fariyaad hai
ye jo do naam hai.n, dono.n badanaam hai.n
tum to naadaan ho, Gam ke mehamaan ho
dil zaraa thaam lo, aql se kaam lo
agarach roshanii hotii hai saahab sab chiraaGo.n se
zaraa saa farq hotaa hai dilo.n me.n aur dimaaGo.n me.n
ai mere dosto.n, aql se kaam lo
baat dil kii karo
kyo.nki...
sher dil ko na ta.Dapaake rakh de agar
to shaayarii kaa mazaa nahii.n aataa
ki chaa.Nd saa koii chaharaa ...

sharbatii aa.Nkh ke dushmano.n se bacho
reshmii zulf kii ulajhano.n se bacho
vo galii chho.D do, ye bharam to.D do
yuu.N na aahe.n bharo, in se taubaa karo
ye jo diladaar hai.n, sab sitamagar hai.n
dil jo dete hai.N ye, to jaan lete hai.n ye
vafaa ke naam ko aashiq kabhii rusvaa nahii.n karate
kaTaa dete hai.n vo sar ko kabhii shikavaa nahii.n karate
dil machal jaane do, tiir chal jaane do, dam nikal jaane do
aur, maut se aadamii ko agar Dar lage
to zi.ndagii kaa mazaa aataa nahii.n
ki chaa.Nd saa koii chaharaa ...

ishq me.n yaad kuchh aur hotaa nahii.n
aashiqii Kuub kii, dil se mahabuub kii
yaad jaatii nahii.n, nii.nd aatii nahii.n
dard khilataa nahii.n, chain milataa nahii.n
yaa Kudaa kyaa kare.n, ham davaa kyaa kare.n
davaa dard-e-jigar kii puuchhate ho tum diivaane se
ye dil kii aag bujhegii faqat aa.Nsuu bahaane se
yah sitam kis lie, Gam ho kam kis lie, roe.n ham kis lie
kyo.nki...
aag par koii paanii agar Daal de
to dillagii kaa mazaa aataa nahii.n
chaa.Nd sa koii chaharaa ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .