% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % bhagavaan do gha.Dii jaraa i.nsaan banake dekh dharatii pe chaar din kabhii mehamaan banake dekh mehamaan banake dekh o o o hai jinako terii yaad kabhii unakii le khabar kabhii unakii le khabar aasamaan vaale kabhii gariibo.n pe kar nazar gariibo.n pe kar nazar dil me.n kisii gariib ke aramaan banake dekh dharatii pe chaar din ... o o o jo kuchh bhii ho rahaa hai vo terii nazar me.n hai terii nazar me.n hai aa dekh merii aas kii naiyaa bha.nvar me.n hai, naiyaa bha.nvar me.n hai sab jaanate hue bhii naa anajaan banake dekh dharatii pe chaar din ... o o o tujh ko khabar nahii.n koI kitanaa niraash hai kitanaa niraash hai tinake kii Duubate ko maalik talaash hai, maalik talaash hai inasaan ban sake naa to bhagavaan banake dekh dharatii pe chaar din ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.