% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % o jaanevaale ho sake to lauT ke aanaa ye ghaaT tuu ye baaT kahii.n bhuul na jaanaa bachapan ke tere miit tere sa.ng ke sahaare Dhuu.NDhe.nge tujhe galii-galii sab ye Gam ke maare puuchhegii har nigaah kal teraa Thikaanaa o jaanevaale... hai teraa vahaa.N kaun sabhii log hai.n paraae parades kii garadish me.n kahii.n tuu bhii kho naa jaae kaa.NTo.n bharii Dagar hai tuu daaman bachaanaa o jaanevaale... de de ke ye aavaaz koii har gha.Dii bulaae phir jaae jo us paar kabhii lauT ke na aae hai bhed ye kaisaa koii kuchh to bataanaa o jaanevaale... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.