% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % % har taraf ab yahii afasaane hai.n ham terii aa.Nkho.n ke diivaane.n hai.n har taraf... itanii sachchaaii hai in aa.Nkho.n me.n khoTe sikke bhii khare ho jaaye.n tuu kabhii pyaar se dekhe jo udhar suukhe ja.ngal bhii hare ho jaaye.n baag ban jaae, baag ban jaae jo viiraane.n hai.n ham terii aa.Nkho.n ke diivaane hai.n har taraf... ek halkaa saa ishaaraa inakaa kabhii dil aur kabhii jaa.N luuTegaa kis tarah pyaas bujhegii usakii kis tarah usakaa nashaa TuuTegaa jisakii qismat me.n, jisakii qismat me.n ye paimaane.n hai.n ham terii aa.Nkho.n ke diivaane.n hai.n har taraf... niichii nazaro.n me.n hai.n kitanaa jaaduu ho gae pal me.n ka_ii khvaab javaa.N kabhii uThane kabhii jhukane kii adaa le chalii jaane kidhar jaane kahaa.N raaste pyaar ke, raaste pyaar ke a.njaane hai.n ham terii aa.Nkho.n ke diivaane.n hai.n - (2) har taraf... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.