% % Contributor: Mahesh Chaubal (chaubal@umbc.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % chupake chupake chal rii purava_iyaa o chupake chupake chal rii purava_iyaa chupake chupake chal rii purava_iyaa baa.Nsurii bajaaye re, raas rachaae dayyaa re dayyaa gopiyo.n sa.ng kanhaiyaa chupake pAgal pavan se, kaise koI bole (2) gorii ke mukh se, ghu.NghaTaa naa khole, Dole, haule se man kii naiyaa gopiyo.n sa.ng kanhaiyaa chupake ... ye kyA huA mujhako, kyA hai ye pahelii (2) aise jaise ke, koI raadhaa kii sahelii mai.n bhI, DhU.nDhuu kadam kii chhai.nyaa gopiyo.n sa.ng kanhaiyaa chupake ... aise samay pe koI, chup bhI rahe kaise (2) baa.Ndh liye rut ne, pag mai.n ghu.Ngharuu jaise naache man taa thaiyya taa thaiyaa gopiyo.n sa.ng kanhaiyaa chupake ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.