% % Contributor: Ramesh Hariharan (rameshh@acad1.tp.ac.sg) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % % kisako qaatil mai.n kahuu.n kisako masIhaa samajhuu.n sab yahaa.n dost hii baiThe hai.n kise kyA samajhuu.n vo bhI kyA din the ke har vaham yakiin hotA thA ab haqIkat nazar aaye to use kyA samajhuu.n dil jo TuuTaa to kaI haath duaa ko uThe aise mAhaul me.n ab kisako paraayaa samajhuu.n zulm ye hai ke hai yaqtaa terI begAnaaravii lutf ye hai ke mai.n ab tak tujhe apanA samajhuu.n ## --------------------------------------------------------------------------- Dictionary : 1. ##masihaa## - messiah 2. ##vaham## - doubt 3. ##yaqtaa## - rigid 4. ##begAnaaravii## - indifference 5. ##lutf## - pleasure ---------------------------------------------------------------------------- ## %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.