% % Contributor: % Transliterator: Vishwanath Karra (karra@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Editor: % % aasamaa.N ke niiche, ham aaj apane piichhe pyaar kaa jahaa.N, basaa ke chale kadam ke nishaa.N, banaa ke chale, aasamaa.N ... tum chale to phuul jaise aa.Nchal ke ra.Ng se saj gaI raahe.n, saj gaI raahe.n paas aao mai pahanaa duu.N chaahat kaa haar ye khulii khulii baahe.n, khulii khulii baahe.n jis kaa ho aa.Nchal khud hii chaman kahiye, vo kyuu.N, haar baaho.n ke Daale, aasamaa.N ... bolatii hai.n aaj aa.Nkhe.n kuchh bhii na aaj tum kahane do hamako, kahane do hamako bekhudii ba.Dhatii chalii hai ab to Kaamosh hii rahane do hamako, rahane do hamako ik baar ek baar, mere liye kah do, khanake.n, laal ho.nTho.n ke pyaale, aasamaa.N ... saath mere chal ke dekho aaI hai.n duur se ab kii bahaare.n, ab kii bahaare.n har galii har mo.D pe vo dono.n ke naam se hamako pukaare, tumako pukaare kah do bahaaro.n se, aae na idhar un tak, uThakar, ham nahii.n jaane vaale, aasamaa.N ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.