% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K.G. (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Samiuddin Mohammed (sm0e@ns1.cc.lehigh.edu) % Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % hoke majabuur mujhe usane bulaayaa hogaa zahar chupake se davaa jaanake khaayaa hogaa hoke majabuur... bhuupi.ndar: dil ne aise bhii kuchh afasaane sunaae ho.nge ashq aa.Nkho.n ne pii aur na bahaae ho.nge ba.nd kamare me.n jo khat mere jalaae ho.nge ek ik harf jabii.n par ubhar aayaa hogaa rafii: usane ghabaraake nazar laakh bachaaii hogii dil kii luTatii huii duniyaa nazar aaii hogii mez se jab merii tasviir haTaaii hogii har taraf mujhako ta.Dapataa huaa paayaa hogaa hoke majabuur... talat: chhe.D kii baat pe aramaa.N machal aae ho.nge Gam dikhaave kii ha.Nsii ne na chhupaae ho.nge naam par mere jab aa.Nsuu nikal aae ho.nge - (2) sar na kaa.Ndhe se sahelii ke uThaayaa hogaa mannaa De: zulf zid karake kisii ne jo banaaii hogii aur bhii Gam kii ghaTaa mukha.De pe chhaaii hogii bijalii nazaro.n ne ka_ii din na giraaii hogii ra.Ng chahare pe ka_ii roz na aayaa hogaa hoke majabuur... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.