% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % insaaf kii Dagar pe, bachcho.n dikhaao chal ke ye desh hai tumhaaraa, netaa tumhii.n ho kal ke duniyaa ke ra.nj sahanaa aur kuchh na mu.Nh se kahanaa sachchaaiyo.n ke bal pe aage ko ba.Dhate rahanaa rakh doge ek din tum sa.nsaar ko badal ke insaaf kii ... apane ho.n yaa paraae sabake liye ho nyaay dekho kadam tumhaaraa haragiz na Dagamagaae raste ba.De kaThin hai.n chalanaa sambhal-sambhal ke insaaf kii ... insaaniyat ke sar par izzat kaa taaj rakhanaa tan man bhii bhe.nT dekar bhaarat kii laaj rakhanaa jiivan nayaa milegaa a.ntim chitaa me.n jal ke, insaaf kii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.