% % Contributor: Preetham Gopalaswamy (preetham@eng.umd.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Credits: % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ek shahanshaah ne banavaa ke hasI.n taajamahal saarii duniyaa ko muhabbat kii nishaanii dii hai isake saaye me sadaa pyaar ke charche ho.nge khatm jo ho naa sakegii vo kahaanii dii hai ek shahanshaah ne banavaake ... taaj vo shammaa hai ulfat ke sanam khaane kii jisake paravaano me mufalis bhii zaradaar bhii hai sa.ng-e-maramar me samaae hue khvaabo.n kii qasam marahale pyaar ke aasaan bhii dush{}vaar bhii hai.n dil ko ek josh iraado.n ko javaanii dii hai ek shahanshaah ne banavaake ... taaj ik zindaa tasavvur hai kisii shaayar kaa isaka afasaanaa hakiikat ke sivaa kuchh bhii nahii isake aagosh me aakar ye gumaa.n hotaa hai zindagii jaise muhabbat ke sivaa kuchh bhii nahii taaj ne pyaar kii maujo.n ko ra_vaanii dii hai ek shahanshaah ne banavaake ... ye hasI.n raat ye mahakii huii puranUr fazaa ho ijaazat to ye dil ishq kaa izahaar kare ishq insaan ko insaan banaa detaa hai kisakii himmat hai muhabbat se jo inakaar kare aaj takadIr ne ye raat suhaanii dii hai ek shahanshaah ne banavaake ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.