% % Contributor: Himanshu Gupta % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Dec 28 16:58:18 EST 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % ab ke sajan saavan me.n -2 aag lagelii badan me.n ghaTaa barasegii nazar tarasegii magar mil na sake.nge do man ek hii aa.Ngan me.n ab ke sajan saavan me.n do dilo.n ke biich kha.Dii kitanii diivaare.n kaise sunuu.Ngii mai.n piyaa prem kii pukaare.n chorii chupake se tum laakh karo jatan, sajan mil na sake.nge do man ek hii aa.Ngan me.n ab ke sajan saavan me.n itane ba.De ghar me.n nahii.n ek bhii jharo.nkaa kis tarah ham de.nge bhalaa duniyaa ko dhokaa raat bhar jagaaegii ye mast mast pavan, sajan mil na sake.nge do man ek ki aa.Ngan me.n iish... ab ke sajan saavan me.n tere mere pyaar kaa ye saal buraa hogaa jab bahaar aaegii to haal buraa hogaa kaa.nTe lagaaegaa ye phuulo.n bharaa chaman, sajan mil na sake.nge do man ek hii aa.Ngan me.n ab ke sajan saavan me.n aag lagelii badan me.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.