% % Contributor: David Windsor% Transliterator: David Windsor % Editor: Rajiv Shridhar % Date: 10/26/1996 % % dekhii zamaane kii yaarii bichha.De sabhii baarii-baarii kyaa leke mile is duniyaa se aa.Nsuu ke sivaa kuchh paas nahii.n yaa phuul hi phuul the daaman se yaa kaa.NTo.n kii bhii aas nahii.n matalab kii duniyaa hai saarii bichha.De sabhii baarii-baarii vaqt hai maharbaa.n aarzuu hai zabaa.n fikr kal kii kare.n itanii furasat kahaa.N daur ye chalataa rahe ra.Ng uchhalataa rahe ruup machalataa rahe jaam badalataa rahe raat bhar mahamaa.n hai.n bahaare.n yahaa.N raat agar Dhal ga_ii phir ye Kushiyaa.N kahaa.N pal bhar kii Kushiyaa.N hai.n saarii bichha.De sabhii baarii baarii %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.