% % Contributor: Kamlesh Nanavati% Transliterator: Rajiv Shridhar % Credits: David Windsor % Date: 02/17/1997 % % ab ke baras bhej bhiiyako baabul saavan ne liijo bulaay re lauTe.ngii jab mere bachapan kii sakhiiyaa.N dejo sa.ndeshaa bhiyaay re ab ke baras bhej bhiiyako baabul ... ambuvaa tale phir se jhuule pa.De.nge rimajhim pa.De.ngii phuhaare.n lauTe.ngii phir tere aa.Ngan me.n baabul saavan kii Tha.nDii bahaare.n chhalake nayan moraa kasake re jiyaraa bachapan kii jab yaad aae re ab ke baras bhej bhiiyako baabul ... bairan javaanii ne chiine khilaune aur merii gu.Diyaa churaaii baabul kii mai.n tere naazo.n kii paalii phir kyo.n huii mai.n paraaii biite re jag koii chiThiyaa na paatii na koii naihar se aaye, re ab ke baras bhej bhiiyako baabul ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.