% % Contributor: % Transliterator: Arati Deo (arati@rice.edu) % Credits: Vandana (vandana@charlie.ece.scarolina.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii, zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii re sakhii mai.n kaa se kahuu.N, rii sakhii kaa se kahuu.N jaane kaise ye baat ba.Dhii, zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii re ... vo chhup chhupake bansarii bajaaye, vo chhup chhupake bansarii bajaaye re vo chhup chhupake bansarii bajaaye, sunaaye mujhe mastii me.n Duubaa huaa raag re mohe taaro.n kii chhaa.Nv me.n bulaaye, churaaye merii ni.ndiyaa, mai.n rah jaauu.N jaag re, lage din chhoTaa, raat ba.Dii, zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii re ... baato.n baato.n me.n rog ba.Dhaa jaaye, baato.n baato.n me.n rog ba.Dhaa jaaye re, baato.n baato.n me.n rog ba.Dhaa jaaye, hamaaraa jiyaa ta.Dape kisiike liye shaam se, meraa paagalapanaa to koii dekho, pukaaruu.N mai.n cha.ndaa ko saajan ke naam se, phirii man pe jaaduu kii chha.Dii, zulmii sa.ng aa.Nkh la.Dii re ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.