% % Contributor: C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: % Editor: % % saathii haath ba.DhAnaa, saathii haath ba.DhAnaa % I always confuse it with "haathi saath ba.Dhanaa" :-) ek akelaa thak jaae to, milakar bojh uThaanaa sAthI hAth ba.DhAnA ... 1) ham mehanatavaalo.n ne jab bhii milakar kadam ba.Dhaayaa saagar ne rastaa chho.Daa parabat ne shIsh jhukaayaa faulaadii hai.n siine apane faulaadii hai.n baahe.n ham chAhe.n to paidA karade.n, chaTTAno.n me.n rAhe.n, sAthI ... 2) mehanat apanii lekh kii rakhanaa mehanat se kyaa Daranaa kal gairo.n kii khaatir kii ab apanii khaatir karanaa apanaa dukh bhii ek hai saathii apanaa sukh bhii ek apanii ma.njil sach kii ma.njil apanaa rastaa nek, saathii ... 3) ek se ek mile to kataraa ban jaataa hai dariyaa ek se ek mile to zarraa ban jaataa hai seharaa ek se ek mile to raa_ii ban sakatii hai parabat ek se ek mile to insaan bas me.n kar le kismat, saathii ... 4) maaTii se ham laal nikaale.n motii laae.n jal se jo kuchh is duniyaa me.n banaa hai banaa hamaare bal se kab tak mehanat ke pairo.n me.n ye daulat kii za.nziire.n haath ba.Dhaakar chhiin lo apane sapano.n kii tasvIre.n, saathii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.