% % Contributor: Pradeep Dubey (pradeep@watson.ibm.com) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Credits: % Editor: % % jaane vAle sipaahii se puuchho vo kahaa.n jaa rahaa hai ishq hai qaatil-e-zi.ndagaanii khuun se tar hai usakii javAnI haay maasuum bachapan kii yaade.n haay do roj kii naujavaanii jaane vAle... kaise sahame hue hai.n nazaare kaise Dar Dar ke chalate hai.n taare kyA javAnI kA khuun ho rahaa hai surkh hai aa.Nchalo.n ke kinaare jaane vAle... kaun dukhiyaa hai jo gaa rAhI hai bhuukhe bachcho.n ko bahalaa rAhI laash jalane kii buu aa rAhI hai zindagii hai ki chillaa rAhI hai jaane vAle... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.